an-ginat sadiyon pe phaili hui teri duniya
an-ginat sadiyoñ pe phailī huī terī duniyā
aur maiñ tujh se bas ik lamha talab kartā huuñ
tū zarā mere mutābiq to banā de mujh ko
dekhnā kaise maiñ terā kahā sab kartā huuñ
ḳhud-ba-ḳhud hotī chalī jaatī hai ye 'umr basar
kis tarah kis liye kyoñ tabsira kab kartā huuñ
na kisī nas meñ tanāo hai na ḳhuuñ khaultā hai
jaisā kahte haiñ sabhī vaisā hī ab kartā huuñ
an-ginat sadiyon pe phaili hui teri duniya
aur main tujh se bas ek lamha talab karta hun
tu zara mere mutabiq to bana de mujh ko
dekhna kaise main tera kaha sab karta hun
KHud-ba-KHud hoti chali jati hai ye 'umr basar
kis tarah kis liye kyon tabsira kab karta hun
na kisi nas mein tanao hai na KHun khaulta hai
jaisa kahte hain sabhi waisa hi ab karta hun
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 54)
- Author :Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.