ana bedar hoti ja rahi hai
anā bedār hotī jā rahī hai
vafā dushvār hotī jā rahī hai
tujhe tartīb meñ kaise rakheñ ham
tirī bhar-mār hotī jā rahī hai
hamārā dard haavī ho gayā hai
davā bīmār hotī jā rahī hai
hilā kartī thī nazroñ se jo chilman
vo ab dīvār hotī jā rahī hai
tirī ḳhushbū jo kashtī meñ basī thī
vo ab patvār hotī jā rahī hai
Tikā rakkhī hai ik bahte diye par
nazar us paar hotī jā rahī hai
dhuāñ chingāriyāñ kohrām chīḳheñ
havā aḳhbār hotī jā rahī hai
ana bedar hoti ja rahi hai
wafa dushwar hoti ja rahi hai
tujhe tartib mein kaise rakhen hum
teri bhar-mar hoti ja rahi hai
hamara dard hawi ho gaya hai
dawa bimar hoti ja rahi hai
hila karti thi nazron se jo chilman
wo ab diwar hoti ja rahi hai
teri KHushbu jo kashti mein basi thi
wo ab patwar hoti ja rahi hai
Tika rakkhi hai ek bahte diye par
nazar us par hoti ja rahi hai
dhuan chingariyan kohram chiKHen
hawa aKHbar hoti ja rahi hai
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 23)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.