andaz mera dekh ke andaz mat laga
andāz merā dekh ke andāz mat lagā
pahle qarīb aa ke mujhe dekh phir batā
gar chāhtā hai mil ke kabhī baat ham kareñ
is ke liye tū biich kī dīvār to girā
ik dūsre ko mil ga.e ham ittifāq se
phir ye huā ki donoñ kā ik rang ho gayā
vo intizār ho yā bichhaḌne kā vaqt ho
āñkhoñ ko āñsuoñ ke sivā aur kyā milā
kamre kī khiḌkiyoñ ko khulā chhoḌ dījiye
ik din vahīñ se raushnī aur aa.egī havā
andaz mera dekh ke andaz mat laga
pahle qarib aa ke mujhe dekh phir bata
gar chahta hai mil ke kabhi baat hum karen
is ke liye tu bich ki diwar to gira
ek dusre ko mil gae hum ittifaq se
phir ye hua ki donon ka ek rang ho gaya
wo intizar ho ya bichhaDne ka waqt ho
aankhon ko aansuon ke siwa aur kya mila
kamre ki khiDkiyon ko khula chhoD dijiye
ek din wahin se raushni aur aaegi hawa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.