andaz nirala hai ada aur hi kuchh hai
andaz nirala hai ada aur hi kuchh hai
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
MORE BYSyed Yusuf Ali Khan Nazim
andāz nirālā hai adā aur hī kuchh hai
ye husn nahīñ nām-e-ḳhudā aur hī kuchh hai
kahte ho ham ab ġhair ko aane nahīñ dete
yā-rab yahī sach ho pe sunā aur hī kuchh hai
parda na rakhā tere lab-e-rūh-fazā ne
ham jānte the āb-e-baqā aur hī kuchh hai
jo maiñ ne kahā thā vo bigaḌne kī na thī baat
kahtā huuñ ki qāsid ne kahā aur hī kuchh hai
hamdam yahī jānāñ kī judā.ī kā hai ronā
kahte haiñ jise marg vo kyā aur hī kuchh hai
iisā se kaho murda-e-sad-sāla jilā leñ
bīmār-e-mohabbat kī davā aur hī kuchh hai
farhād-e-havas-pesha ne bhī dī to sahī jaan
par sheva-e-arbāb-e-vafā aur hī kuchh hai
tum husn kī ḳhairāt meñ kyā dete ho laao
har-chand tamannā-e-gadā aur hī kuchh hai
ham zohd-o-ibādat ke bhī munkir nahīñ 'nāzim'
par qā.eda-e-faqr-o-fanā aur hī kuchh hai
andaz nirala hai ada aur hi kuchh hai
ye husn nahin nam-e-KHuda aur hi kuchh hai
kahte ho hum ab ghair ko aane nahin dete
ya-rab yahi sach ho pe suna aur hi kuchh hai
parda na rakha tere lab-e-ruh-faza ne
hum jaante the aab-e-baqa aur hi kuchh hai
jo main ne kaha tha wo bigaDne ki na thi baat
kahta hun ki qasid ne kaha aur hi kuchh hai
hamdam yahi jaanan ki judai ka hai rona
kahte hain jise marg wo kya aur hi kuchh hai
isa se kaho murda-e-sad-sala jila len
bimar-e-mohabbat ki dawa aur hi kuchh hai
farhad-e-hawas-pesha ne bhi di to sahi jaan
par shewa-e-arbab-e-wafa aur hi kuchh hai
tum husn ki KHairaat mein kya dete ho lao
har-chand tamanna-e-gada aur hi kuchh hai
hum zohd-o-ibaadat ke bhi munkir nahin 'nazim'
par qaeda-e-faqr-o-fana aur hi kuchh hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.