andaz se alag nae tewar liye hue
andāz se alag na.e tevar liye hue
shīshe khaḌe the haath meñ patthar liye hue
mumkin hai ye bhī hogā kisī daur meñ yahāñ
ā.eñge phuul bhī kabhī nashtar liye hue
jugnū kī haisiyat ko na kam āñkiye janāb
uḌtā phire hai ḳhud meñ ik aḳhtar liye hue
phir se sajī haiñ shāḳheñ chaman meñ haiñ raunaqeñ
aa.ī bahār phūloñ kā zevar liye hue
āġhāz ho rahā hai na.e ik safar kā phir
aaya hai pesh-kash na.ī rahbar liye hue
kis baat kā ġhurūr hai milnā hai ḳhaak meñ
aa.e haiñ aap ḳhaak kā paikar liye hue
kārīgarī kamāl kī qudrat kī dekh kar
hairān huuñ maiñ titliyoñ ke par liye hue
andaz se alag nae tewar liye hue
shishe khaDe the hath mein patthar liye hue
mumkin hai ye bhi hoga kisi daur mein yahan
aaenge phul bhi kabhi nashtar liye hue
jugnu ki haisiyat ko na kam aankiye janab
uDta phire hai KHud mein ek aKHtar liye hue
phir se saji hain shaKHen chaman mein hain raunaqen
aai bahaar phulon ka zewar liye hue
aaghaz ho raha hai nae ek safar ka phir
aaya hai pesh-kash nai rahbar liye hue
kis baat ka ghurur hai milna hai KHak mein
aae hain aap KHak ka paikar liye hue
karigari kamal ki qudrat ki dekh kar
hairan hun main titliyon ke par liye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.