andaz wo nahin hai ab wo ada nahin hai
andāz vo nahīñ hai ab vo adā nahīñ hai
pahlā sā bāñkpan to tujh meñ rahā nahīñ hai
kyuuñ saañs ghuT rahī hai kyuuñ muztarib hai dil bhī
shāyad khulī fazā meñ taaza havā nahīñ hai
tanqīd kar rahā hai kuchh is adā se mujh par
jaise ki is jahāñ meñ merā ḳhudā nahīñ hai
hai ishq naam merā dil hai maqām merā
is ke sivā jahāñ meñ merā patā nahīñ hai
andaz wo nahin hai ab wo ada nahin hai
pahla sa bankpan to tujh mein raha nahin hai
kyun sans ghuT rahi hai kyun muztarib hai dil bhi
shayad khuli faza mein taza hawa nahin hai
tanqid kar raha hai kuchh is ada se mujh par
jaise ki is jahan mein mera KHuda nahin hai
hai ishq nam mera dil hai maqam mera
is ke siwa jahan mein mera pata nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.