andaz zamane ka waisa hi raha phir bhi
andāz zamāne kā vaisā hī rahā phir bhī
sau baar sunāyā aur sau baar kahā sāhab
duniyā se shikāyat kyā aur tum se gila kaisā
ilzām hī milnā thā in.ām-e-vafā sāhab
uftād pe insāñ kī ḳhāmosh hue insāñ
aise meñ to yaad aayā bas apnā ḳhudā sāhab
hālāt kī dhuup apnā yuuñ rang uḌā degī
miT jaatā hai sab jaise paanī pe likhā sāhab
aḳhlāq kī qadroñ kī tahqīr huī itnī
iḳhlās kā ghar ujḌā aur phir na basā sāhab
ahbāb kī majlis ho yā mahfil-e-tanhā.ī
yaad aatī hai ab un kī ik ek adā sāhab
andaz zamane ka waisa hi raha phir bhi
sau bar sunaya aur sau bar kaha sahab
duniya se shikayat kya aur tum se gila kaisa
ilzam hi milna tha inam-e-wafa sahab
uftad pe insan ki KHamosh hue insan
aise mein to yaad aaya bas apna KHuda sahab
haalat ki dhup apna yun rang uDa degi
miT jata hai sab jaise pani pe likha sahab
aKHlaq ki qadron ki tahqir hui itni
iKHlas ka ghar ujDa aur phir na basa sahab
ahbab ki majlis ho ya mahfil-e-tanhai
yaad aati hai ab un ki ek ek ada sahab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.