andar andar bikhar rahe hain log
andar andar bikhar rahe haiñ log
‘ādatan ban sañvar rahe haiñ log
ḳhauf rastoñ pe itnā bikhrā hai
ek duuje se Dar rahe haiñ log
mere ghar ke diye bujhāne ko
kaan āñdhī ke bhar rahe haiñ log
had meñ rahne kī kyā qasam khaa.ī
apnī had se guzar rahe haiñ log
baat idhar kī udhar lagāne meñ
kuchh idhar kuchh udhar rahe haiñ log
ek ūñche maqām kī ḳhātir
kitnā nīche utar rahe haiñ log
andar andar bikhar rahe hain log
‘adatan ban sanwar rahe hain log
KHauf raston pe itna bikhra hai
ek duje se Dar rahe hain log
mere ghar ke diye bujhane ko
kan aandhi ke bhar rahe hain log
had mein rahne ki kya qasam khai
apni had se guzar rahe hain log
baat idhar ki udhar lagane mein
kuchh idhar kuchh udhar rahe hain log
ek unche maqam ki KHatir
kitna niche utar rahe hain log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.