andar bhi tha KHala so KHala dekhta raha
andar bhī thā ḳhalā so ḳhalā dekhtā rahā
maiñ āsmāñ kī samt khaḌā dekhtā rahā
ik maiñ ki dekhtā rahā us meñ ḳhudā ko aur
ik aur shaḳhs mujh meñ ḳhudā dekhtā rahā
merī nashist us se zarā duur thī magar
maiñ us ke saath ḳhālī jagah dekhtā rahā
āñkhoñ meñ is qadar thī mire tīrgī ki maiñ
jalte hue diye ko bujhā dekhtā rahā
andar purāne zaḳhm kī sūrat bigaḌ ga.ī
maiñ chehra aa.ine meñ khaḌā dekhtā rahā
kuchh aur dekhne ko nahīñ thā ki dekhtā
so vaqt ko guzartā huā dekhtā rahā
vo mujh se pūchhtā rahā kaise ho tum 'uzair'
aur maiñ havā meñ jaltā diyā dekhtā rahā
andar bhi tha KHala so KHala dekhta raha
main aasman ki samt khaDa dekhta raha
ek main ki dekhta raha us mein KHuda ko aur
ek aur shaKHs mujh mein KHuda dekhta raha
meri nashist us se zara dur thi magar
main us ke sath KHali jagah dekhta raha
aankhon mein is qadar thi mere tirgi ki main
jalte hue diye ko bujha dekhta raha
andar purane zaKHm ki surat bigaD gai
main chehra aaine mein khaDa dekhta raha
kuchh aur dekhne ko nahin tha ki dekhta
so waqt ko guzarta hua dekhta raha
wo mujh se puchhta raha kaise ho tum 'uzair'
aur main hawa mein jalta diya dekhta raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.