andar hi andar ek khincha-tani hai
andar hī andar ik khīñchā-tānī hai
kaifiyyat dīvāne kī haijānī hai
rone se pahle ye sochnā chāhiye thā
bachā huā āñkhoñ meñ kitnā paanī hai
tere chehre se mil kar ma.alūm huā
merī āñkhoñ meñ kitnī hairānī hai
aas ke shahr meñ muft hai paanī aur havā
zinda rahne kī behad āsānī hai
ruuh kahīñ se mil jaa.e to le aanā
jism hai kyā bas ik vaj.h-e-uryānī hai
maiñ sarsabz huā jaatā huuñ andar se
rang tirī āñkhoñ kā kaisā dhānī hai
soch nahīñ paatā maiñ is ko jism baġhair
ruuh bhī merī lagtā hai jismānī hai
dekh rahā huuñ ka.ī dinoñ se ḳhvāb ajab
dasht hai ik aur dasht meñ gahrā paanī hai
pūchhtā huuñ logoñ se āḳhir kaun hai vo
kahte haiñ ki ek balā tūfānī hai
do kirdār ke naam batā detā huuñ maiñ
yaad agar tum ko bhī ek kahānī hai
soch-samajh kar ḳharch kareñge duniyā par
bachī huī āñkhoñ meñ jo hairānī hai
pīchhe us bastī ke ik vīrāna hai
aur us vīrāne kī ek kahānī hai
pahle kahāñ dekhā hai tum ko yaad nahīñ
sūrat to lagtī jānī-pahchānī hai
kabhī samundar pūchhe to batlā denā
āñkhoñ ke dariyā meñ kitnā paanī hai
ik duniyā hai jis meñ ham tum rahte haiñ
is se aage ik duniyā imkānī hai
pahle isti.māl kiyā hai maiñ ne bhī
lafz-e-mohabbat bilkul hī be-ma.anī hai
ik pyāse ko bhī sairāb na kar paayā
sharm se saarā dariyā pānī-pānī hai
andar hi andar ek khincha-tani hai
kaifiyyat diwane ki haijaani hai
rone se pahle ye sochna chahiye tha
bacha hua aankhon mein kitna pani hai
tere chehre se mil kar malum hua
meri aankhon mein kitni hairani hai
aas ke shahr mein muft hai pani aur hawa
zinda rahne ki behad aasani hai
ruh kahin se mil jae to le aana
jism hai kya bas ek wajh-e-uryani hai
main sarsabz hua jata hun andar se
rang teri aankhon ka kaisa dhani hai
soch nahin pata main is ko jism baghair
ruh bhi meri lagta hai jismani hai
dekh raha hun kai dinon se KHwab ajab
dasht hai ek aur dasht mein gahra pani hai
puchhta hun logon se aaKHir kaun hai wo
kahte hain ki ek bala tufani hai
do kirdar ke nam bata deta hun main
yaad agar tum ko bhi ek kahani hai
soch-samajh kar KHarch karenge duniya par
bachi hui aankhon mein jo hairani hai
pichhe us basti ke ek virana hai
aur us virane ki ek kahani hai
pahle kahan dekha hai tum ko yaad nahin
surat to lagti jaani-pahchani hai
kabhi samundar puchhe to batla dena
aankhon ke dariya mein kitna pani hai
ek duniya hai jis mein hum tum rahte hain
is se aage ek duniya imkani hai
pahle istimal kiya hai main ne bhi
lafz-e-mohabbat bilkul hi be-mani hai
ek pyase ko bhi sairab na kar paya
sharm se sara dariya pani-pani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.