andar se dil chaT rahi jo lahje ki maghruri thi
andar se dil chaaT rahī jo lahje kī maġhrūrī thī
achchhī tarah tum jaan ga.e ho ishq mirī majbūrī thī
ham ne tum se ishq kiyā aur ishq bhī puurī shiddat se
ye aadhā iz.hār hamārā lafzoñ kī māzūrī thī
chaar dinoñ meñ saat janam ko jiine vaale suntā jā
saat janam kā saath hamārā chaar dinoñ kī duurī thī
bhuul aa.ī huuñ jitne lamhe ai shab-e-hijrāñ vāpas de
vasl kī ḳhvāhish karnā merī sach meñ ik majbūrī thī
apnā honā chhoḌ aa.ī huuñ maiñ us ke darvāze par
utnī baat batā kar palTī jitnī baat zarūrī thī
andar se dil chaT rahi jo lahje ki maghruri thi
achchhi tarah tum jaan gae ho ishq meri majburi thi
hum ne tum se ishq kiya aur ishq bhi puri shiddat se
ye aadha izhaar hamara lafzon ki mazuri thi
chaar dinon mein sat janam ko jine wale sunta ja
sat janam ka sath hamara chaar dinon ki duri thi
bhul aai hun jitne lamhe ai shab-e-hijran wapas de
wasl ki KHwahish karna meri sach mein ek majburi thi
apna hona chhoD aai hun main us ke darwaze par
utni baat bata kar palTi jitni baat zaruri thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.