andesha-e-amal na KHayal-e-najat hai
andesha-e-amal na ḳhayāl-e-najāt hai
sub.h-e-haram se mast javānī kī raat hai
dil kī agar baqā to nazar kā sabāt hai
aañsū jo mustajāb ho āb-e-hayāt hai
tūfān-e-ām zalzala-e-kā.enāt hai
kyā zindagī marīz-e-mohabbat kī raat hai
fikr-e-nasheman-o-ġham-e-gul se najāt hai
bijlī mire liye nigah-e-iltifāt hai
vo ik nazar ki jā.eza-e-dil na le sake
kyā fā.eda jo mumtahin-e-kā.enāt hai
mātam na kyoñ karūñ dil-e-sāhil-nasīb kā
is bahr-e-zindagī meñ talātum hayāt hai
ye imtiyāz-e-vahdat-o-kasrat bajā sahī
lekin qiyām-e-zāt ba-qaid-e-sifāt hai
ahl-e-chaman nigāh rakheñ inqalāb par
rang-e-ḳhizāñ bhī gul kī tarah be-sabāt hai
gulshan meñ 'faiz' mas.ala-e-rang-o-bū na chheḌ
ye imtiyāz-e-qalb-o-nazar kī vafāt hai
andesha-e-amal na KHayal-e-najat hai
subh-e-haram se mast jawani ki raat hai
dil ki agar baqa to nazar ka sabaat hai
aansu jo mustajab ho aab-e-hayat hai
tufan-e-am zalzala-e-kaenat hai
kya zindagi mariz-e-mohabbat ki raat hai
fikr-e-nasheman-o-gham-e-gul se najat hai
bijli mere liye nigah-e-iltifat hai
wo ek nazar ki jaeza-e-dil na le sake
kya faeda jo mumtahin-e-kaenat hai
matam na kyon karun dil-e-sahil-nasib ka
is bahr-e-zindagi mein talatum hayat hai
ye imtiyaz-e-wahdat-o-kasrat baja sahi
lekin qiyam-e-zat ba-qaid-e-sifat hai
ahl-e-chaman nigah rakhen inqalab par
rang-e-KHizan bhi gul ki tarah be-sabaat hai
gulshan mein 'faiz' masala-e-rang-o-bu na chheD
ye imtiyaz-e-qalb-o-nazar ki wafat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.