andesha-e-arbab-e-haram sath rahega
andesha-e-arbāb-e-haram saath rahegā
jannat bhī milegī to ye ġham saath rahegā
pyāse hī guzar jā.eñge ham rāh-e-talab se
ibrat ke liye sāġhar-e-jam saath rahegā
manzil se palaT aa.egī ek ek tajallī
haañ sho.ala-e-ruḳhsār-e-sanam saath rahegā
tū aur na aa.e dar-e-zindān-e-vafā tak
mar kar bhī ye ġham terī qasam saath rahegā
aflāk se palkoñ pe utar ā.eñge taare
khul kar bhī shab-e-ġham kā bharam saath rahegā
mai-ḳhāna bahut duur nahīñ dīda-e-nam se
aa gardish-e-daurāñ koī dam saath rahegā
rāhoñ meñ 'qatīl' ā.eñge sau ā.ina-ḳhāne
lekin mirā gul-posh qalam saath rahegā
andesha-e-arbab-e-haram sath rahega
jannat bhi milegi to ye gham sath rahega
pyase hi guzar jaenge hum rah-e-talab se
ibrat ke liye saghar-e-jam sath rahega
manzil se palaT aaegi ek ek tajalli
han shoala-e-ruKHsar-e-sanam sath rahega
tu aur na aae dar-e-zindan-e-wafa tak
mar kar bhi ye gham teri qasam sath rahega
aflak se palkon pe utar aaenge tare
khul kar bhi shab-e-gham ka bharam sath rahega
mai-KHana bahut dur nahin dida-e-nam se
aa gardish-e-dauran koi dam sath rahega
rahon mein 'qatil' aaenge sau aaina-KHane
lekin mera gul-posh qalam sath rahega
- Book : Kalam Qateel Shifai (Pg. 247)
- Author : Qateel Shifai
- Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.