Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

andesha-ha-e-sud-o-ziyan tak na aa sake

Syed Muzaffar Ahmad Ziya

andesha-ha-e-sud-o-ziyan tak na aa sake

Syed Muzaffar Ahmad Ziya

MORE BYSyed Muzaffar Ahmad Ziya

    andesha-hā-e-sūd-o-ziyāñ tak na aa sake

    ham jis jagah the log vahāñ tak na aa sake

    kyā jāniye bhaTakte phireñge kahāñ kahāñ

    vo hādse jo mere makāñ tak na aa sake

    jitnā vafā paas thā utnā ijtināb

    vo raaz the jo vahm-o-gumāñ tak na aa sake

    ham to sajā.e baiThe the mahfil ḳhayāl

    kyā kījiye ki log yahāñ tak na aa sake

    andāz-e-guftugū meñ rahe itnī ehtiyāt

    ehsās-e-karb lafz-o-bayāñ tak na aa sake

    chāhā thā apne haal pe kuchh tabsira kareñ

    lekin bahut se lafz zabāñ tak na aa sake

    kis rāste se aa.e 'ziyā' tum hamāre paas

    ham to vahāñ the koī jahāñ tak na aa sake

    andesha-ha-e-sud-o-ziyan tak na aa sake

    hum jis jagah the log wahan tak na aa sake

    kya jaaniye bhaTakte phirenge kahan kahan

    wo hadse jo mere makan tak na aa sake

    jitna wafa ka pas tha utna hi ijtinab

    wo raaz the jo wahm-o-guman tak na aa sake

    hum to sajae baiThe the mahfil KHayal ki

    kya kijiye ki log yahan tak na aa sake

    andaz-e-guftugu mein rahe itni ehtiyat

    ehsas-e-karb lafz-o-bayan tak na aa sake

    chaha tha apne haal pe kuchh tabsira karen

    lekin bahut se lafz zaban tak na aa sake

    kis raste se aae 'ziya' tum hamare pas

    hum to wahan the koi jahan tak na aa sake

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now