andher shab-e-hijr mein kya kya nahin hota
andher shab-e-hijr meñ kyā kyā nahīñ hotā
kab hashr sar-e-shām se barpā nahīñ hotā
bīmār-e-mohabbat kabhī achchhā nahīñ hotā
ye dard vo hai jis kā mudāvā nahīñ hotā
ho laakh hasīñ husn kā shahrā nahīñ hotā
tum ko to zarā ḳhauf ḳhudā kā nahīñ hotā
maqbūl vahāñ ishq kā sajda nahīñ hotā
jis jā pa tirā naqsh-e-kaf-e-pā nahīñ hotā
ye dil usī qābil hai use ḳhuub jalāo
us par jo sitam hotā hai bejā nahīñ hotā
apnoñ hī se hotī hai shikāyat bhī gilā bhī
ulfat meñ kisī ġhair se shikva nahīñ hotā
aatā hī samajh meñ nahīñ iqrār bhī un kā
hotā hai us andāz se goyā nahīñ hotā
ye bhī mirī qismat ki zabāñ aisī milī hai
jis se ki adā harf-e-tamannā nahīñ hotā
ai shaiḳh khule bandoñ meñ piine meñ maza hai
ye shaġhl chhupā kar pas-e-parda nahīñ hotā
aatā hai mujhe dasht nazar josh-e-junūñ meñ
hālāñki vo ghar hotā hai sahrā nahīñ hotā
be-ġham haiñ har ik fikr se rindān-e-ḳharābāt
un ko kabhī andesha-e-fardā nahīñ hotā
ye saḳhtiyāñ har roz kī kaise sahe koī
insān ke patthar kā kalejā nahīñ hotā
ab ġham bhī mire dil se ye kartā hai shikāyat
is ḳhāna-vīrāñ meñ guzārā nahīñ hotā
ai shaiḳh ye barkat hai ki p jaate haiñ lākhoñ
phir bhī kabhī ḳhālī ḳhum-e-sahbā nahīñ hotā
vo ham bhī suneñ taur pe jo tum ne sunā thā
ham se to yahī hazrat-e-mūsā nahīñ hotā
zāhir meñ chhupeñ aa.eñ nigāhoñ meñ diloñ meñ
tauhīn hai parde ke ye pardā nahīñ hotā
aa paḌtī hai uftād kuchh is tarah kī nāseh
ulfat meñ koī shauq se rusvā nahīñ hotā
kah do zarā aġhyār se sañbhle hue aa.eñ
maqtal hai yahāñ khel tamāshā nahīñ hotā
the tālib-e-dīdār to sañbhle hue rahte
muusā koī yuuñ mahv-e-tajallī nahīñ hotā
ulfat meñ mazā 'ishq meñ lazzat nahīñ miltī
jab tak ki koī dard sarāpā nahīñ hotā
andher shab-e-hijr mein kya kya nahin hota
kab hashr sar-e-sham se barpa nahin hota
bimar-e-mohabbat kabhi achchha nahin hota
ye dard wo hai jis ka mudawa nahin hota
ho lakh hasin husn ka shahra nahin hota
tum ko to zara KHauf KHuda ka nahin hota
maqbul wahan ishq ka sajda nahin hota
jis ja pa tera naqsh-e-kaf-e-pa nahin hota
ye dil usi qabil hai use KHub jalao
us par jo sitam hota hai beja nahin hota
apnon hi se hoti hai shikayat bhi gila bhi
ulfat mein kisi ghair se shikwa nahin hota
aata hi samajh mein nahin iqrar bhi un ka
hota hai us andaz se goya nahin hota
ye bhi meri qismat ki zaban aisi mili hai
jis se ki ada harf-e-tamanna nahin hota
ai shaiKH khule bandon mein pine mein maza hai
ye shaghl chhupa kar pas-e-parda nahin hota
aata hai mujhe dasht nazar josh-e-junun mein
haalanki wo ghar hota hai sahra nahin hota
be-gham hain har ek fikr se rindan-e-KHarabaat
un ko kabhi andesha-e-farda nahin hota
ye saKHtiyan har roz ki kaise sahe koi
insan ke patthar ka kaleja nahin hota
ab gham bhi mere dil se ye karta hai shikayat
is KHana-viran mein guzara nahin hota
ai shaiKH ye barkat hai ki p jate hain lakhon
phir bhi kabhi KHali KHum-e-sahba nahin hota
wo hum bhi sunen taur pe jo tum ne suna tha
hum se to yahi hazrat-e-musa nahin hota
zahir mein chhupen aaen nigahon mein dilon mein
tauhin hai parde ke ye parda nahin hota
aa paDti hai uftad kuchh is tarah ki naseh
ulfat mein koi shauq se ruswa nahin hota
kah do zara aghyar se sanbhle hue aaen
maqtal hai yahan khel tamasha nahin hota
the talib-e-didar to sanbhle hue rahte
musa koi yun mahw-e-tajalli nahin hota
ulfat mein maza 'ishq mein lazzat nahin milti
jab tak ki koi dard sarapa nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.