Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

andhera din ke ujale nigal gaya kaise

Sabir Naseerabadi

andhera din ke ujale nigal gaya kaise

Sabir Naseerabadi

MORE BYSabir Naseerabadi

    añdherā din ke ujāle nigal gayā kaise

    charāġh shaam se pahle jal gayā kaise

    abhī to raat bas ik pahar biitā hai

    abhī se sub.h sūraj nikal gayā kaise

    jo nabz nabz meñ sayyāl ban ke bahtā hai

    vo harf harf nazar se nikal gayā kaise

    vo sabz peḌ jo sūkhe meñ bhī nahīñ sūkhā

    magar vo aaj shabnam se jal gayā kaise

    bulandiyoñ ko fazāoñ nāpne vaalā

    qadam uThāne se pahle phisal gayā kaise

    vo sanglāḳh chaTānoñ āhanī paikar

    hamāre mom se lahje meñ Dhal gayā kaise

    har ek lamha qayāmat hai aaj ai 'sābir'

    savāb apnā 'azāboñ meñ Dhal gayā kaise

    andhera din ke ujale nigal gaya kaise

    charagh sham se pahle hi jal gaya kaise

    abhi to raat ka bas ek pahar hi bita hai

    abhi se subh ka suraj nikal gaya kaise

    jo nabz nabz mein sayyal ban ke bahta hai

    wo harf harf nazar se nikal gaya kaise

    wo sabz peD jo sukhe mein bhi nahin sukha

    magar wo aaj hi shabnam se jal gaya kaise

    bulandiyon ko fazaon ki napne wala

    qadam uThane se pahle phisal gaya kaise

    wo sanglaKH chaTanon ka aahani paikar

    hamare mom se lahje mein Dhal gaya kaise

    har ek lamha qayamat hai aaj ai 'sabir'

    sawab apna 'azabon mein Dhal gaya kaise

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now