andhera dur karne ka tariqa sochna hoga
añdherā duur karne kā tarīqa sochnā hogā
ujāle ke liye koī darīcha kholnā hogā
ham aksar hādse ke baa'd hī sargarm hote haiñ
hameñ ab hādisa hone se pahle roknā hogā
use parvāh hai aa.iin kī yā hai hukūmat kī
hamārī ‘adliya ko baiTh kar ye sochnā hogā
nahīñ aa.egā koī dūsrā ham ko bachāne ab
hamāre mas.aloñ par ham ko ḳhud hī bolnā hogā
hamārī zindagī kā rāstā bhī gol hai shāyad
jahāñ se aa.e the vāpas vahīñ par lauTnā hogā
andhera dur karne ka tariqa sochna hoga
ujale ke liye koi daricha kholna hoga
hum aksar hadse ke ba'd hi sargarm hote hain
hamein ab hadisa hone se pahle rokna hoga
use parwah hai aain ki ya hai hukumat ki
hamari ‘adliya ko baiTh kar ye sochna hoga
nahin aaega koi dusra hum ko bachane ab
hamare masalon par hum ko KHud hi bolna hoga
hamari zindagi ka rasta bhi gol hai shayad
jahan se aae the wapas wahin par lauTna hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.