andhera ganw mein phaila ke suraj
añdherā gaañv meñ phailā ke sūraj
kahīñ par so gayā hai jā ke sūraj
agar mere charāġhoñ ko bujhāyā
tumheñ denā paḌegā lā ke sūraj
patā hai vo añdherā bechtā hai
hathelī par tumheñ dikhlā ke sūraj
banā kar raushnī itrāne vaalo
batāo raat meñ tum lā ke sūraj
añdherā kuchh hī duurī par khaḌā hai
bahut ḳhush ho rahe ho pā ke sūraj
bulandī par khaḌe logoñ se pūchho
gayā hai kyā tumheñ samjhā ke sūraj
andhera ganw mein phaila ke suraj
kahin par so gaya hai ja ke suraj
agar mere charaghon ko bujhaya
tumhein dena paDega la ke suraj
pata hai wo andhera bechta hai
hatheli par tumhein dikhla ke suraj
bana kar raushni itrane walo
batao raat mein tum la ke suraj
andhera kuchh hi duri par khaDa hai
bahut KHush ho rahe ho pa ke suraj
bulandi par khaDe logon se puchho
gaya hai kya tumhein samjha ke suraj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.