andhere ghar mein charaghon se kuchh na kaam liya
añdhere ghar meñ charāġhoñ se kuchh na kaam liyā
ki apne aap se yuuñ ham ne intiqām liyā
tumhāre shahr se sauġhāt aur kyā miltī
kisī se pyaas lī maiñ ne kisī se jaam liyā
mire zavāl kī vo sā.ateñ rahī hoñgī
tumheñ pukār ke dāman kisī kā thaam liyā
shajar shajar mirī parvāz thī havā kī tarah
khulī fazā meñ mujhe kis ne zer-e-dām liyā
'ajīb chiiz hai 'shāhid' ye ḳhud-shanāsī bhī
salīb-o-dār pe bhī maiñ ne apnā naam liyā
andhere ghar mein charaghon se kuchh na kaam liya
ki apne aap se yun hum ne intiqam liya
tumhaare shahr se saughat aur kya milti
kisi se pyas li main ne kisi se jam liya
mere zawal ki wo saaten rahi hongi
tumhein pukar ke daman kisi ka tham liya
shajar shajar meri parwaz thi hawa ki tarah
khuli faza mein mujhe kis ne zer-e-dam liya
'ajib chiz hai 'shahid' ye KHud-shanasi bhi
salib-o-dar pe bhi main ne apna nam liya
- Book : Mausam Mausam Roop (Pg. 72)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.