andhere ke aaghosh mein wo chhupa hai
añdhere ke āġhosh meñ vo chhupā hai
ujālā samay kā mahak to rahā hai
jo takiya ho bhīgī samajh lo ishāre
bilakte bilakte koī so gayā hai
tabāhī ke aalam meñ hañstā sitārā
ka.ī mushkiloñ se chahak kar milā hai
muqaddas ho sīrat bhale chāhe jitnī
farebī sī sūrat ko sab kuchh ravā hai
na dāman pasārā na sar thā jhukāyā
na shikva kisī se na koī gila hai
sahī baat kahte hamesha haiñ Darte
ye sach kā safīna ufuq se girā hai
nahīñ chāhiye raushnī ab falak kī
charāġhoñ sā man sab taraf se khulā hai
lage saath bhārī khule āsmāñ meñ
qafas se nikal bandishoñ se ghirā hai
kyoñ lipTā vo chādar meñ be-fikr ho kar
gunāhoñ kā khātā adhūrā paḌā hai
shajar rūThā rahtā hai har-vaqt dekho
nahīñ koī arse se aa kar rukā hai
sabhī se hai rishta koī be-zabāñ sā
ḳharāba makāñ jaisā lagne lagā hai
muqaddar ke chābuk se pūchho zarā ab
chaman se havā kyā abhī bhī judā hai
musalsal hai hotī yahāñ par jo bārish
to phir kyoñ mirā kūcha sūkhā paḌā hai
ye jhūToñ kī hastī ghulī hai fazā meñ
haqīqat pe dekho kyoñ pardā paḌā hai
andhere ke aaghosh mein wo chhupa hai
ujala samay ka mahak to raha hai
jo takiya ho bhigi samajh lo ishaare
bilakte bilakte koi so gaya hai
tabahi ke aalam mein hansta sitara
kai mushkilon se chahak kar mila hai
muqaddas ho sirat bhale chahe jitni
farebi si surat ko sab kuchh rawa hai
na daman pasara na sar tha jhukaya
na shikwa kisi se na koi gila hai
sahi baat kahte hamesha hain Darte
ye sach ka safina ufuq se gira hai
nahin chahiye raushni ab falak ki
charaghon sa man sab taraf se khula hai
lage sath bhaari khule aasman mein
qafas se nikal bandishon se ghira hai
kyon lipTa wo chadar mein be-fikr ho kar
gunahon ka khata adhura paDa hai
shajar ruTha rahta hai har-waqt dekho
nahin koi arse se aa kar ruka hai
sabhi se hai rishta koi be-zaban sa
KHaraba makan jaisa lagne laga hai
muqaddar ke chabuk se puchho zara ab
chaman se hawa kya abhi bhi juda hai
musalsal hai hoti yahan par jo barish
to phir kyon mera kucha sukha paDa hai
ye jhuTon ki hasti ghuli hai faza mein
haqiqat pe dekho kyon parda paDa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.