andhere ke taaqub mein kai kirnen laga dega
añdhere ke ta.āqub meñ ka.ī kirneñ lagā degā
vo andhā daav par ab ke mirī āñkheñ lagā degā
musalsal ajnabī chāpeñ agar galiyoñ meñ utreñgī
vo ghar kī khiḌkiyoñ par aur bhī meḳheñ lagā degā
fasīl-e-sañg kī ta.amīr par jitnā bhī pahra ho
kisī kone meñ koī kāñch kī īñTeñ lagā degā
maiñ is zarḳhez mausam meñ bhī ḳhālī haath lauTā to
vo khetoñ meñ qalam kar ke mirī bāheñ lagā degā
vo phir kah degā sūraj se savā neze pe aane ko
kaTe peḌoñ pe pahle mom kī beleñ lagā degā
andhere ke taaqub mein kai kirnen laga dega
wo andha daw par ab ke meri aankhen laga dega
musalsal ajnabi chapen agar galiyon mein utrengi
wo ghar ki khiDkiyon par aur bhi meKHen laga dega
fasil-e-sang ki tamir par jitna bhi pahra ho
kisi kone mein koi kanch ki inTen laga dega
main is zarKHez mausam mein bhi KHali hath lauTa to
wo kheton mein qalam kar ke meri bahen laga dega
wo phir kah dega suraj se sawa neze pe aane ko
kaTe peDon pe pahle mom ki belen laga dega
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 406)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23)
- Edition : Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.