andhere mein ujala sa lage hai
añdhere meñ ujālā sā lage hai
mujhe ab ġhair bhī apnā lage hai
bhare bāzār meñ tanhā lage hai
vo har parde meñ be-parda lage hai
mire dil meñ khaTaktī hai tamanna
mujhe har phuul ab kāñTā lage hai
madārī ne pate kī baat kah dī
mirā bandar mujhe daanā lage hai
jise pāyāb samjhā vo kināra
samundar se kahīñ gahrā lage hai
guzarnā hai tujhe phir imtihāñ se
vo apne qaul se phirtā lage hai
tujhe do buuñd paanī kaun detā
samundar bhī yahāñ pyāsā lage hai
lahū rotī haiñ āñkheñ jis kī ḳhātir
mirā ronā use gaanā lage hai
purānī rasm hai jūñ-tūñ nibhāo
na.e hālāt se Dar sā lage hai
ghaTā kī chhāñv se vaadī meñ utro
shagūfa sā vahāñ khiltā lage hai
isī ehsās ke dam se huuñ zinda
tirī āñkhoñ meñ kuchh apnā lage hai
andhere mein ujala sa lage hai
mujhe ab ghair bhi apna lage hai
bhare bazar mein tanha lage hai
wo har parde mein be-parda lage hai
mere dil mein khaTakti hai tamanna
mujhe har phul ab kanTa lage hai
madari ne pate ki baat kah di
mera bandar mujhe dana lage hai
jise payab samjha wo kinara
samundar se kahin gahra lage hai
guzarna hai tujhe phir imtihan se
wo apne qaul se phirta lage hai
tujhe do bund pani kaun deta
samundar bhi yahan pyasa lage hai
lahu roti hain aankhen jis ki KHatir
mera rona use gana lage hai
purani rasm hai jun-tun nibhao
nae haalat se Dar sa lage hai
ghaTa ki chhanw se wadi mein utro
shagufa sa wahan khilta lage hai
isi ehsas ke dam se hun zinda
teri aankhon mein kuchh apna lage hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.