andheri khai se goya safar chaTan ka tha
añdherī khaa.ī se goyā safar chaTān kā thā
jo fāsla mire ghar se tire makān kā thā
bichhaḌ ke tujh se vo aalam mirī uḌaan kā thā
ki maiñ zamīñ kā rahā thā na āsmān kā thā
tamām umr mire dil meñ jo khaTaktā rahā
vo tiir tere kisī tanz kī kamān kā thā
yaqīñ ke Thos dalā.el jise na kaaT sake
tirī vafā se vo rishta mire gumān kā thā
tum apne azm ke shal bāzuoñ ko mat chūmo
manāo ḳhair ki ehsān bādbān kā thā
andheri khai se goya safar chaTan ka tha
jo fasla mere ghar se tere makan ka tha
bichhaD ke tujh se wo aalam meri uDan ka tha
ki main zamin ka raha tha na aasman ka tha
tamam umr mere dil mein jo khaTakta raha
wo tir tere kisi tanz ki kaman ka tha
yaqin ke Thos dalael jise na kaT sake
teri wafa se wo rishta mere guman ka tha
tum apne azm ke shal bazuon ko mat chumo
manao KHair ki ehsan baadban ka tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.