andheri raat mein patta laraz raha hai koi
añdherī raat meñ pattā laraz rahā hai koī
mujhe lagā ki mirā dard-āshnā hai koī
sadā.eñ aatī haiñ jis samt se havāoñ kī
usī taraf chalo yaaro udhar gayā hai koī
chhiTak ke chāñd kahīñ duur jā ki baiTh gayā
akelā aaj samundar meñ Dūbtā hai koī
dhaḌak rahā hai bahut der se badan merā
ki chalte chalte kahīñ par Thahar gayā hai koī
ye kaun shaḳhs hai chhuptā hai kis liye mujh se
karūñ jo baat kabhī ḳhud se boltā hai koī
safar ho ḳhatm to dekhūñ ki kaun hai kyā hai
mujhe ḳhabar hai mire saath chal rahā hai koī
andheri raat mein patta laraz raha hai koi
mujhe laga ki mera dard-ashna hai koi
sadaen aati hain jis samt se hawaon ki
usi taraf chalo yaro udhar gaya hai koi
chhiTak ke chand kahin dur ja ki baiTh gaya
akela aaj samundar mein Dubta hai koi
dhaDak raha hai bahut der se badan mera
ki chalte chalte kahin par Thahar gaya hai koi
ye kaun shaKHs hai chhupta hai kis liye mujh se
karun jo baat kabhi KHud se bolta hai koi
safar ho KHatm to dekhun ki kaun hai kya hai
mujhe KHabar hai mere sath chal raha hai koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.