andheri raat nafas ke diye jalae hain
andheri raat nafas ke diye jalae hain
Saeed-ul-Zafar Chughtai
MORE BYSaeed-ul-Zafar Chughtai
añdherī raat nafas ke diye jalā.e haiñ
banāne vāloñ ne ḳhurshīd tak banā.e haiñ
bas is se pahle ki dariyā-e-ḳhūñ meñ jā Dūbeñ
haiñ ḳhush-nasīb pasīne meñ jo nahā.e haiñ
har ek husn-o-latāfat kī intihā hai hayāt
gul-o-sharāb-o-bahisht-o-sanam kinā.e haiñ
maiñ jāgtā huuñ ki sotā huuñ ḳhvāb dekhtā huuñ
zamīn taptī hai kuchh bādaloñ ke saa.e haiñ
sañvar ga.e haiñ jinhoñ ne jahāñ sañvārā hai
chamak rahe haiñ vo chehre ki gul khilā.e haiñ
usī kī baañg pe bedār ho ke zab.h kiyā
navā-e-murġh ne kyā kyā asar dikhā.e haiñ
kisī haqīr se shīshe ko bhī na Thes lage
is ehtiyāt pe bhī kitne dil dukhā.e haiñ
andheri raat nafas ke diye jalae hain
banane walon ne KHurshid tak banae hain
bas is se pahle ki dariya-e-KHun mein ja Duben
hain KHush-nasib pasine mein jo nahae hain
har ek husn-o-latafat ki intiha hai hayat
gul-o-sharab-o-bahisht-o-sanam kinae hain
main jagta hun ki sota hun KHwab dekhta hun
zamin tapti hai kuchh baadalon ke sae hain
sanwar gae hain jinhon ne jahan sanwara hai
chamak rahe hain wo chehre ki gul khilae hain
usi ki bang pe bedar ho ke zabh kiya
nawa-e-murgh ne kya kya asar dikhae hain
kisi haqir se shishe ko bhi na Thes lage
is ehtiyat pe bhi kitne dil dukhae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.