andheri shab ho musallat ghaTaen jaisi hon
andheri shab ho musallat ghaTaen jaisi hon
Maulwi Syed Mumtaz Ali
MORE BYMaulwi Syed Mumtaz Ali
añdherī shab ho musallat ghaTā.eñ jaisī hoñ
ki ham charāġh-ba-kaf haiñ havā.eñ jaisī hoñ
na mere kaam hī aa.ī ye ābla-pā.ī
na dekhte haiñ vo muḌ kar sadā.eñ jaisī hoñ
maiñ dil-zada huuñ ki vo shoḳh hī kuchh aisā hai
usī ke naam likhī haiñ adā.eñ jaisī hoñ
ye nā-rasā.ī ke shikve are ma.āz-allāh
tumhāre dar pe to aa.e vafā.eñ jaisī hoñ
ḳhud āgahī kī abhī tak salīb uThā.e hue
phire haiñ kūcha-ba-kūcha sazā.eñ jaisī hoñ
niyāz shart hai dil ke gudāz ko 'sarmad'
tum apnā haath uThāo duā.eñ jaisī hoñ
andheri shab ho musallat ghaTaen jaisi hon
ki hum charagh-ba-kaf hain hawaen jaisi hon
na mere kaam hi aai ye aabla-pai
na dekhte hain wo muD kar sadaen jaisi hon
main dil-zada hun ki wo shoKH hi kuchh aisa hai
usi ke nam likhi hain adaen jaisi hon
ye na-rasai ke shikwe are maaz-allah
tumhaare dar pe to aae wafaen jaisi hon
KHud aagahi ki abhi tak salib uThae hue
phire hain kucha-ba-kucha sazaen jaisi hon
niyaz shart hai dil ke gudaz ko 'sarmad'
tum apna hath uThao duaen jaisi hon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.