andheri shab ki abhi mat hone wali hai
añdherī shab kī abhī maat hone vaalī hai
yahāñ pe nuur kī barsāt hone vaalī hai
samā'atoñ meñ 'ajab sansanī sī hotī hai
na jaane kis se mirī baat hone vaalī hai
zamāna tarsā hai dīdār ke liye jis ke
usī se merī mulāqāt hone vaalī hai
parinde apne baseroñ kī or jaane lage
ye lag rahā hai ki ab raat hone vaalī hai
abhī to kam hai magar ḳhauf hai yahī nāzir
kuchh aur saḳhtī-e-hālāt hone vaalī hai
andheri shab ki abhi mat hone wali hai
yahan pe nur ki barsat hone wali hai
sama'aton mein 'ajab sansani si hoti hai
na jaane kis se meri baat hone wali hai
zamana tarsa hai didar ke liye jis ke
usi se meri mulaqat hone wali hai
parinde apne baseron ki or jaane lage
ye lag raha hai ki ab raat hone wali hai
abhi to kam hai magar KHauf hai yahi nazir
kuchh aur saKHti-e-haalat hone wali hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.