andheri shab mein ujalon ko aam hum karte
añdherī shab meñ ujāloñ ko aam ham karte
agar charāġh jalāne kā kaam ham karte
hamāre zauq-e-safar ko na ye gavārā huā
ki darmiyān-e-masāfat qiyām ham karte
ka.ī gunāh jo the un ke naam se mansūb
vo chāhte the unheñ apne naam ham karte
na milte roz agar to kabhī kabhī hī sahī
paḌosiyoñ se duā-o-salām ham karte
maza thā jis meñ vo nekī janāb-e-shaiḳh ne kī
jo be-maza thā vo kyā nek kaam ham karte
jo pyāsā hotā koī ahl-e-karbalā kī tarah
to us kī pyaas ko baḌh kar salām ham karte
andheri shab mein ujalon ko aam hum karte
agar charagh jalane ka kaam hum karte
hamare zauq-e-safar ko na ye gawara hua
ki darmiyan-e-masafat qiyam hum karte
kai gunah jo the un ke nam se mansub
wo chahte the unhen apne nam hum karte
na milte roz agar to kabhi kabhi hi sahi
paDosiyon se dua-o-salam hum karte
maza tha jis mein wo neki janab-e-shaiKH ne ki
jo be-maza tha wo kya nek kaam hum karte
jo pyasa hota koi ahl-e-karbala ki tarah
to us ki pyas ko baDh kar salam hum karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.