Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

andheron ki hukumat ko miTa kar apne ghar aaya

Mukesh Indori

andheron ki hukumat ko miTa kar apne ghar aaya

Mukesh Indori

añdheroñ hukūmat ko miTā kar apne ghar aayā

savere jaise āñkheñ khulī sūraj nazar aayā

gayā mathurā banaras aur ka.aba har jagah lekin

milā dil ko sukūñ jab lauT kar maiñ apne ghar aayā

paḌī hai maar jab se vaqt Darne lagā huuñ maiñ

chaḌhā thā jo javānī nasha pal meñ utar aayā

ka.ī kāñTe bichhā.e dostoñ ne raah meñ merī

unheñ chun kar unhīñ rāhoñ se maiñ sābit guzar aayā

akelā laḌ rahā huuñ zindagī jañg bachpan se

balā bhiiḌ hai koī nahīñ apnā nazar aayā

gharoñ meñ qaid ho kar rah ga.ī hai zindagī sab

zamāne fazā meñ dost kaisā ye asar aayā

zamāne vaale to kahte raheñge kahne do in ko

hamesha maare haiñ patthar nazar jo bhī shajar aayā

duāoñ asar hai mere purkhoñ ye 'indorī'

hamesha dushmanoñ ke ghar meñ un ke par katar aayā

andheron ki hukumat ko miTa kar apne ghar aaya

sawere jaise hi aankhen khuli suraj nazar aaya

gaya mathura banaras aur kaba har jagah lekin

mila dil ko sukun jab lauT kar main apne ghar aaya

paDi hai mar jab se waqt ki Darne laga hun main

chaDha tha jo jawani ka nasha pal mein utar aaya

kai kanTe bichhae doston ne rah mein meri

unhen chun kar unhin rahon se main sabit guzar aaya

akela laD raha hun zindagi ki jang bachpan se

bala ki bhiD hai koi nahin apna nazar aaya

gharon mein qaid ho kar rah gai hai zindagi sab ki

zamane ki faza mein dost kaisa ye asar aaya

zamane wale to kahte rahenge kahne do in ko

hamesha mare hain patthar nazar jo bhi shajar aaya

duaon ka asar hai mere purkhon ki ye 'indori'

hamesha dushmanon ke ghar mein un ke par katar aaya

Source :
  • Book : Scan File Mail By Salim Saleem
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now