andheron ko miTane ka irada hum bhi rakhte hain
añdheroñ ko miTāne kā irāda ham bhī rakhte haiñ
ki ham jugnū haiñ thoḌā sā ujālā ham bhī rakhte haiñ
agar mauqa milā ham ko zamāne ko dikhā deñge
havā kā ruḳh badalne kā kaleja ham bhī rakhte haiñ
shab-e-ġham kī sahar jaane mayassar kab hameñ hogī
kisī ke dil meñ basne kī tamanna ham bhī rakhte haiñ
hamārī shā.erī meñ pāoge tum 'mīr' sī lazzat
rivāyat ko nibhāne kā salīqa ham bhī rakhte haiñ
hamāre paas bhī hai ik na.e feature kā mobile
'ajay' dekho to muTThī meñ zamāna ham bhī rakhte haiñ
andheron ko miTane ka irada hum bhi rakhte hain
ki hum jugnu hain thoDa sa ujala hum bhi rakhte hain
agar mauqa mila hum ko zamane ko dikha denge
hawa ka ruKH badalne ka kaleja hum bhi rakhte hain
shab-e-gham ki sahar jaane mayassar kab hamein hogi
kisi ke dil mein basne ki tamanna hum bhi rakhte hain
hamari shaeri mein paoge tum 'mir' si lazzat
riwayat ko nibhane ka saliqa hum bhi rakhte hain
hamare pas bhi hai ek nae feature ka mobile
'ajay' dekho to muTThi mein zamana hum bhi rakhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.