andhi ye aankh dekhne wali na ho kahin
andhī ye aañkh dekhne vaalī na ho kahīñ
duniyā hamārī ḳhām-ḳhayālī na ho kahīñ
dastak kisī ḳhayāl kī jis vaqt bhī sunī
dil ne kahā ki dekh savālī na ho kahīñ
rone ke baad aañkh mirī surḳh ho ga.ī
ashkoñ meñ mere ḳhuun kī laalī na ho kahīñ
ye kyā laboñ se koī kiran phūTtī nahīñ
zambīl-e-qalb dard se ḳhālī na ho kahīñ
likkhī ga.ī hai ḳhuun se tārīḳh sabr kī
sachchā.ī se zamīn ye ḳhālī na ho kahīñ
'mushtāq' tere taur tarīqe ajiib haiñ
kahte haiñ log tū bhī misālī na ho kahīñ
andhi ye aankh dekhne wali na ho kahin
duniya hamari KHam-KHayali na ho kahin
dastak kisi KHayal ki jis waqt bhi suni
dil ne kaha ki dekh sawali na ho kahin
rone ke baad aankh meri surKH ho gai
ashkon mein mere KHun ki lali na ho kahin
ye kya labon se koi kiran phuTti nahin
zambil-e-qalb dard se KHali na ho kahin
likkhi gai hai KHun se tariKH sabr ki
sachchai se zamin ye KHali na ho kahin
'mushtaq' tere taur tariqe ajib hain
kahte hain log tu bhi misali na ho kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.