angar-e-tajalli nahin shabnam bhi nahin hai
angār-e-tajallī nahīñ shabnam bhī nahīñ hai
āñkhoñ meñ koī vādī-e-nīlam bhī nahīñ hai
maiñ gulshan-e-ulfat ke muqaddar se barī huuñ
ab dil meñ mire ḳhvāhish-e-hamdam bhī nahīñ hai
bārān-e-tajassus kabhī barsī nahīñ mujh par
sochoñ kā koī tā.ir-e-mausam bhī nahīñ hai
qātil hai ki phūloñ kā lahū piitā hai har din
hairat hai ki is par koī mātam bhī nahīñ hai
duniyā hai ki shamshīreñ chalātī hai mujhī par
maiñ huuñ ki mire zaḳhmoñ pe marham bhī nahīñ hai
muskāne se chamkegī kabhī bū-e-muqaddar
varna to ḳhushī kā koī parcham bhī nahīñ hai
maiñ 'kāvish'-e-lā-harf-e-takallum se huuñ nādim
vo jis ko ki maazī kā koī ġham bhī nahīñ hai
angar-e-tajalli nahin shabnam bhi nahin hai
aankhon mein koi wadi-e-nilam bhi nahin hai
main gulshan-e-ulfat ke muqaddar se bari hun
ab dil mein mere KHwahish-e-hamdam bhi nahin hai
baran-e-tajassus kabhi barsi nahin mujh par
sochon ka koi tair-e-mausam bhi nahin hai
qatil hai ki phulon ka lahu pita hai har din
hairat hai ki is par koi matam bhi nahin hai
duniya hai ki shamshiren chalati hai mujhi par
main hun ki mere zaKHmon pe marham bhi nahin hai
muskane se chamkegi kabhi bu-e-muqaddar
warna to KHushi ka koi parcham bhi nahin hai
main 'kawish'-e-la-harf-e-takallum se hun nadim
wo jis ko ki mazi ka koi gham bhi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.