anginat the peD lekin dur tak saya na tha
anginat the peḌ lekin duur tak saaya na thā
ḳhvāb aisā aaj se pahle kabhī dekhā na thā
'umr kam hotī hai sunte the mohabbat kī magar
roz-o-shab lamhoñ meñ Dhal jā.eñge andāza na thā
baa'd tere jaane kyoñ mashkūk sā rahne lagā
varna dil merā kisī tūfāñ se ghabrātā na thā
sochtā huuñ kyoñ milā maiñ us se kyoñ chāhā use
qurb us kā jab mirī qismat hī meñ likkhā na thā
chāñd hī vo shai hai duniyā meñ nahīñ jis kā javāb
maiñ samajhtā thā yahī jab tak tujhe dekhā na thā
phir bhī jaane kyoñ vo dukh-sukh meñ rahā aksar sharīk
mere us ke darmiyāñ aisā koī rishta na thā
varġhalāne meñ na aayā vo ye ḳhūbī us meñ thī
vo mirā dushman thā lekin kaan kā kachchā na thā
pyaar thā dil meñ vafā thī jazba-e-īsār thā
kal kā insāñ daur-e-hāzir ke bashar jaisā na thā
ab to dekhā tū ne 'gulshan' tark kar ke aarzū
zindagī dushvār ho jā.egī maiñ kahtā na thā
anginat the peD lekin dur tak saya na tha
KHwab aisa aaj se pahle kabhi dekha na tha
'umr kam hoti hai sunte the mohabbat ki magar
roz-o-shab lamhon mein Dhal jaenge andaza na tha
ba'd tere jaane kyon mashkuk sa rahne laga
warna dil mera kisi tufan se ghabraata na tha
sochta hun kyon mila main us se kyon chaha use
qurb us ka jab meri qismat hi mein likkha na tha
chand hi wo shai hai duniya mein nahin jis ka jawab
main samajhta tha yahi jab tak tujhe dekha na tha
phir bhi jaane kyon wo dukh-sukh mein raha aksar sharik
mere us ke darmiyan aisa koi rishta na tha
warghalane mein na aaya wo ye KHubi us mein thi
wo mera dushman tha lekin kan ka kachcha na tha
pyar tha dil mein wafa thi jazba-e-isar tha
kal ka insan daur-e-hazir ke bashar jaisa na tha
ab to dekha tu ne 'gulshan' tark kar ke aarzu
zindagi dushwar ho jaegi main kahta na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.