anginat zaKHm kai dagh zamane ke mile
anginat zaḳhm ka.ī daaġh zamāne ke mile
kitne unvān hameñ ek fasāne se mile
yuuñ to har-gām zamāne ne hameñ Thukrāyā
phir bhī ham tere liye saare zamāne se mile
ehtirāman tire qadmoñ pe luTā.e aksar
jitne motī bhī hameñ dil ke ḳhazāne se mile
tuur par jalva-numā.ī kī huī rasm adā
vo hameñ dil kī taraf aañkh uThāne se mile
yaad hai itnā mulāqāt huī thī un se
ye nahīñ yaad ki vo kis ke bahāne se mile
rāh-e-hamvār pe insān bhaTak jaate haiñ
manzil-e-dil ke nishāñ Thokareñ khāne se mile
baat vo hai ki jo bigḌe to asar paidā ho
tiir vo hai jo ḳhatā ho ke nishāne se mile
dil jo TuuTā to khule ruuh pe asrār-e-jamāl
kitne sūraj hameñ ik sham.a bujhāne se mile
jaan de kar hī milā dost kā paiġhām 'tufail'
vo hameñ āḳhirī dīvār girāne se mile
anginat zaKHm kai dagh zamane ke mile
kitne unwan hamein ek fasane se mile
yun to har-gam zamane ne hamein Thukraya
phir bhi hum tere liye sare zamane se mile
ehtiraman tere qadmon pe luTae aksar
jitne moti bhi hamein dil ke KHazane se mile
tur par jalwa-numai ki hui rasm ada
wo hamein dil ki taraf aankh uThane se mile
yaad hai itna mulaqat hui thi un se
ye nahin yaad ki wo kis ke bahane se mile
rah-e-hamwar pe insan bhaTak jate hain
manzil-e-dil ke nishan Thokaren khane se mile
baat wo hai ki jo bigDe to asar paida ho
tir wo hai jo KHata ho ke nishane se mile
dil jo TuTa to khule ruh pe asrar-e-jamal
kitne suraj hamein ek shama bujhane se mile
jaan de kar hi mila dost ka paigham 'tufail'
wo hamein aaKHiri diwar girane se mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.