anguTha-chhap shair hun mera ilm-o-hunar kya hai

anguTha-chhap shair hun mera ilm-o-hunar kya hai
Sushrut Pant Zarraa
MORE BYSushrut Pant Zarraa
añgūThā-chhāp shā'ir huuñ mirā 'ilm-o-hunar kyā hai
satā.ish kā sila kaisā mazammat meñ zarar kyā hai
maiñ paudā apnī miTTī kā maiñ kyā jānūñ shajar kyā hai
maiñ qatra apnī siipī meñ mujhe lagtā guhar kyā hai
mire ehsās apne haiñ mirī apnī hai bīnā.ī
zamāne kā chalan kyā hai siyānoñ kī nazar kyā hai
mirā tarz-e-suḳhan be-sāḳhta hai aap hī jāneñ
purānā yā nayā hai be-asar yā bā-asar kyā hai
bahut āsān hai kār-e-jahāñ mere liye lekin
jahāñ vaale kareñ dushvār in ko mujh se Dar kyā hai
maiñ chalte chalte aksar apnī manzil ko badaltā huuñ
mirā hamrāh hogā kaun merī rah-guzar kyā hai
huuñ kam-auqāt 'zarra' par nahīñ qaa.il kisī kā bhī
sikandar kyā qalandar kyā muqaddar kyā bashar kyā hai
anguTha-chhap sha'ir hun mera 'ilm-o-hunar kya hai
sataish ka sila kaisa mazammat mein zarar kya hai
main pauda apni miTTi ka main kya jaanun shajar kya hai
main qatra apni sipi mein mujhe lagta guhar kya hai
mere ehsas apne hain meri apni hai binai
zamane ka chalan kya hai siyanon ki nazar kya hai
mera tarz-e-suKHan be-saKHta hai aap hi jaanen
purana ya naya hai be-asar ya ba-asar kya hai
bahut aasan hai kar-e-jahan mere liye lekin
jahan wale karen dushwar in ko mujh se Dar kya hai
main chalte chalte aksar apni manzil ko badalta hun
mera hamrah hoga kaun meri rah-guzar kya hai
hun kam-auqat 'zarra' par nahin qail kisi ka bhi
sikandar kya qalandar kya muqaddar kya bashar kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.