anhoni ek baat hui hai tum bhi chup ho hum bhi chup
anhonī ik baat huī hai tum bhī chup ho ham bhī chup
hoñToñ pe kyā biit rahī hai tum bhī chup ho ham bhī chup
tūfāñ tūfāñ shor huā thā vāvailā thā hangāma thā
phir to vahī ik ḳhāmoshī hai tum bhī chup ho ham bhī chup
hangāme jab TuuT ga.e haiñ sard paḌī haiñ chīḳheñ bhī
ḳhāmoshī hī saath chalī hai tum bhī chup ho ham bhī chup
pattā pattā bol uThā hai gulshan gulshan chīḳh rahā hai
mausam-e-gul meñ aag lagī hai tum bhī chup ho ham bhī chup
barsoñ se ham DhūñD rahe the sadiyoñ se ham pūchh rahe the
ab manzil jab paas khaḌī hai tum bhī chup ho ham bhī chup
anhoni ek baat hui hai tum bhi chup ho hum bhi chup
honTon pe kya bit rahi hai tum bhi chup ho hum bhi chup
tufan tufan shor hua tha wawaila tha hangama tha
phir to wahi ek KHamoshi hai tum bhi chup ho hum bhi chup
hangame jab TuT gae hain sard paDi hain chiKHen bhi
KHamoshi hi sath chali hai tum bhi chup ho hum bhi chup
patta patta bol uTha hai gulshan gulshan chiKH raha hai
mausam-e-gul mein aag lagi hai tum bhi chup ho hum bhi chup
barson se hum DhunD rahe the sadiyon se hum puchh rahe the
ab manzil jab pas khaDi hai tum bhi chup ho hum bhi chup
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.