anjam hi ko uske na samjha na tu na main
anjām hī ko us ke na samjhā na tū na maiñ
varna ye ḳhvāhishāt baḌhātā na tū na maiñ
hosh-o-ḳhirad ko kaam meñ laayā na tū na maiñ
is vāste kamāl ko pahuñchā na tū na maiñ
samjhauta kar leñ baiTh ke aa ai mire zamīr
samjhauta maslahat se karegā na tū na maiñ
hālāt-e-hāzira kī nazar hai bahut amiiq
hālāt-e-hāzira se bachegā na tū na maiñ
zillat sivā.e kuchh na milegā jo hotā ilm
apnoñ ko apnā haal sunātā na tū na maiñ
shāyad isī liye ki nahīñ kiiñ ḳhushāmadeñ
manzil ko apnī koī bhī pahuñchā na tū na maiñ
ik shahr-e-dard-mañd jo hotā hamārā shahr
itnā niDhāl dard se hotā na tū na maiñ
anjam hi ko us ke na samjha na tu na main
warna ye KHwahishat baDhata na tu na main
hosh-o-KHirad ko kaam mein laya na tu na main
is waste kamal ko pahuncha na tu na main
samjhauta kar len baiTh ke aa ai mere zamir
samjhauta maslahat se karega na tu na main
haalat-e-hazira ki nazar hai bahut amiq
haalat-e-hazira se bachega na tu na main
zillat siwae kuchh na milega jo hota ilm
apnon ko apna haal sunata na tu na main
shayad isi liye ki nahin kin KHushamaden
manzil ko apni koi bhi pahuncha na tu na main
ek shahr-e-dard-mand jo hota hamara shahr
itna niDhaal dard se hota na tu na main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.