Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

anjam se ghafil to kabhi hum bhi nahin the

Saqib Harooni

anjam se ghafil to kabhi hum bhi nahin the

Saqib Harooni

MORE BYSaqib Harooni

    anjām se ġhāfil to kabhī ham bhī nahīñ the

    auroñ ke mumāsil to kabhī ham bhī nahīñ the

    gar da.avā-e-ahbāb hai haq-goī-o-insāf

    phir zāviya-bātil to kabhī ham bhī nahīñ the

    ye aur ki ilzām-e-tabāhī hai mire naam

    is shahr ke qātil to kabhī ham bhī nahīñ the

    mamnūn-e-atā shān-e-karīmī na hoñ kyūñkar

    yuuñ sharf ke qābil to kabhī ham bhī nahīñ the

    andāz-e-raqībāñ nahīñ pur-soz junūñ-sāz

    az ḳhū-e-anādil to kabhī ham bhī nahīñ the

    kyā baat hai kyoñ chāñd pe garhan lagā hai

    is biich meñ haa.il to kabhī ham bhī nahīñ the

    'sāqib' ne diyā na.ara-e-jamhūr magar ab

    pāband-e-salāsil to kabhī ham bhī nahīñ the

    anjam se ghafil to kabhi hum bhi nahin the

    auron ke mumasil to kabhi hum bhi nahin the

    gar dawa-e-ahbab hai haq-goi-o-insaf

    phir zawiya-baatil to kabhi hum bhi nahin the

    ye aur ki ilzam-e-tabahi hai mere nam

    is shahr ke qatil to kabhi hum bhi nahin the

    mamnun-e-ata shan-e-karimi na hon kyunkar

    yun sharf ke qabil to kabhi hum bhi nahin the

    andaz-e-raqiban nahin pur-soz junun-saz

    az KHu-e-anadil to kabhi hum bhi nahin the

    kya baat hai kyon chand pe garhan sa laga hai

    is bich mein hail to kabhi hum bhi nahin the

    'saqib' ne diya nara-e-jamhur magar ab

    paband-e-salasil to kabhi hum bhi nahin the

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now