anjaan bastiyon ka pata puchhta hun main
anjān bastiyoñ kā patā pūchhtā huuñ maiñ
ye kis kī justujū hai kise DhūñDhtā huuñ maiñ
jab mere dil se duur mirā ham-nafas nahīñ
saare jahāñ kī ḳhaak abas chhāntā huuñ maiñ
kyā jabr thā ki sab kī zabāñ guñg ho ga.ī
kyā jurm thā ki jis kī sazā chāhtā huuñ maiñ
pahle to maiñ bhī hañs ke use Tāltā rahā
ab dil jo kah rahā hai vahī māntā huuñ maiñ
ye fāsla to sirf nazar kā fareb hai
ham kis qadar qarīb haiñ ye jāntā huuñ maiñ
manzil to sirf naam hai pahchān ke liye
jis kī tumheñ talāsh hai vo rāsta huuñ maiñ
anjaan bastiyon ka pata puchhta hun main
ye kis ki justuju hai kise DhunDhta hun main
jab mere dil se dur mera ham-nafas nahin
sare jahan ki KHak abas chhanta hun main
kya jabr tha ki sab ki zaban gung ho gai
kya jurm tha ki jis ki saza chahta hun main
pahle to main bhi hans ke use Talta raha
ab dil jo kah raha hai wahi manta hun main
ye fasla to sirf nazar ka fareb hai
hum kis qadar qarib hain ye jaanta hun main
manzil to sirf nam hai pahchan ke liye
jis ki tumhein talash hai wo rasta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.