anjaane ek lafz zaban se nikal gaya
anjāne ek lafz zabāñ se nikal gayā
ab kyā kareñ ki tiir kamāñ se nikal gayā
us kā alag vajūd hai us kā alag madār
taara jo qa.ar-e-kāhkashāñ se nikal gayā
jab tum nahīñ rahe mire ḳhvāb-o-ḳhayāl meñ
maiñ bhī tumhāre vahm-o-gumāñ se nikal gayā
kyoñ daf.atan zamān-o-makāñ sab bikhar ga.e
ye kaun aaj kaun-o-makāñ se nikal gayā
ai dām-o-dāna ab to tumheñ aa gayā qarār
ab maiñ tumhāre bāġh-e-jināñ se nikal gayā
thā zaḳhm us pe aap vo marham lagā ga.e
aur dard-e-rāh āh-o-fuġhāñ se nikal gayā
miTTī jo thī ki aab ko chhūte hī gal ga.ī
jazba jo thā ki āb-e-ravāñ se nikal gayā
anjaane ek lafz zaban se nikal gaya
ab kya karen ki tir kaman se nikal gaya
us ka alag wajud hai us ka alag madar
tara jo qar-e-kahkashan se nikal gaya
jab tum nahin rahe mere KHwab-o-KHayal mein
main bhi tumhaare wahm-o-guman se nikal gaya
kyon dafatan zaman-o-makan sab bikhar gae
ye kaun aaj kaun-o-makan se nikal gaya
ai dam-o-dana ab to tumhein aa gaya qarar
ab main tumhaare bagh-e-jinan se nikal gaya
tha zaKHm us pe aap wo marham laga gae
aur dard-e-rah aah-o-fughan se nikal gaya
miTTi jo thi ki aab ko chhute hi gal gai
jazba jo tha ki aab-e-rawan se nikal gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.