anjum pe jo guzar gai us ka bhala hisab kya
'anjum' pe jo guzar ga.ī us kā bhalā hisāb kyā
pūchhe koī savāl kyā lā.eñge ham javāb kyā
ḳhūn-e-dil-o-jigar se hai husn-e-ḳhayāl husn-e-fan
is ke baġhair she'r kyā majmūa kyā kitāb kyā
terā hī naam le liyā vaqt-e-ishā.at-e-kalām
is ke 'alāva aur ham DhūñDte intisāb kyā
terī hī be-ruḳhī se to TuuTā hai dil abhī abhī
ab iltifāt-e-be-mahal ho sake kāmyāb kyā
ham to chaman chaman ga.e dil na shagufta ho sakā
nasrīn-o-nastaran hai kyā laala hai kyā gulāb kyā
tum ko bhī ranj isī se hai ham bhī kuchh is se ḳhush nahīñ
aur ḳharāb is se bhī hogā dil-e-ḳharāb kyā
'anjum' ne aañkh khol ke dard-o-alam jo dekhe haiñ
auroñ ne ḳhvāb meñ agar dekhe to aise ḳhvāb kyā
'anjum' pe jo guzar gai us ka bhala hisab kya
puchhe koi sawal kya laenge hum jawab kya
KHun-e-dil-o-jigar se hai husn-e-KHayal husn-e-fan
is ke baghair she'r kya majmua kya kitab kya
tera hi nam le liya waqt-e-ishaat-e-kalam
is ke 'alawa aur hum DhunDte intisab kya
teri hi be-ruKHi se to TuTa hai dil abhi abhi
ab iltifat-e-be-mahal ho sake kaamyab kya
hum to chaman chaman gae dil na shagufta ho saka
nasrin-o-nastaran hai kya lala hai kya gulab kya
tum ko bhi ranj isi se hai hum bhi kuchh is se KHush nahin
aur KHarab is se bhi hoga dil-e-KHarab kya
'anjum' ne aankh khol ke dard-o-alam jo dekhe hain
auron ne KHwab mein agar dekhe to aise KHwab kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.