anwar-e-nau-ba-nau se mamur ho ke uTTha
anvār-e-nau-ba-nau se mā'mūr ho ke uTThā
dil un kī anjuman se pur-nūr ho ke uTThā
husn-e-talab kī zau se ḳhud ban gayā tajallī
aiman kī vādiyoñ se dil tuur ho ke uTThā
girdāb-e-mustaqil huuñ maiñ sat.h-e-bahr-e-ġham par
mauj-e-fanā kī zad se majbūr ho ke uTThā
har ek sang-e-dar hai merī jabīñ kā tālib
maiñ un ke āstāñ se mansūr ho ke uTThā
rāh-e-talab meñ aksar aise maqām aa.e
har naqsh-e-pā-e-manzil pur-nūr ho ke uTThā
mujh se na pūchh saaqī dekh apnī be-ruḳhī ko
maiñ terī anjuman se majbūr ho ke uTThā
anjām-e-gulsitāñ par 'māhir' maiñ hañs rahā huuñ
jo gul khilā chaman meñ be-nūr ho ke uTThā
anwar-e-nau-ba-nau se ma'mur ho ke uTTha
dil un ki anjuman se pur-nur ho ke uTTha
husn-e-talab ki zau se KHud ban gaya tajalli
aiman ki wadiyon se dil tur ho ke uTTha
girdab-e-mustaqil hun main sath-e-bahr-e-gham par
mauj-e-fana ki zad se majbur ho ke uTTha
har ek sang-e-dar hai meri jabin ka talib
main un ke aastan se mansur ho ke uTTha
rah-e-talab mein aksar aise maqam aae
har naqsh-e-pa-e-manzil pur-nur ho ke uTTha
mujh se na puchh saqi dekh apni be-ruKHi ko
main teri anjuman se majbur ho ke uTTha
anjam-e-gulsitan par 'mahir' main hans raha hun
jo gul khila chaman mein be-nur ho ke uTTha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.