apna anjam-e-safar yaad aaya
apnā anjām-e-safar yaad aaya
jaise ik shahr-badar yaad aaya
hasrat-e-dil kā samar yaad aaya
koī duzdīda nazar yaad aaya
aaj tasvīr jo apnī dekhī
ek gum-gashta safar yaad aaya
baat ye aur hai jaa.eñ na udhar
vaise jaanā thā kidhar yaad aaya
jo mirā aaj banā hai ġham-ḳhvār
ḳhuuñ huā us se jigar yaad aaya
maanā ham us ko bhulā deñ bhī 'zubair'
aur vo bhūle se agar yaad aaya
apna anjam-e-safar yaad aaya
jaise ek shahr-badar yaad aaya
hasrat-e-dil ka samar yaad aaya
koi duzdida nazar yaad aaya
aaj taswir jo apni dekhi
ek gum-gashta safar yaad aaya
baat ye aur hai jaen na udhar
waise jaana tha kidhar yaad aaya
jo mera aaj bana hai gham-KHwar
KHun hua us se jigar yaad aaya
mana hum us ko bhula den bhi 'zubair'
aur wo bhule se agar yaad aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.