apna apna hausla tha fasle tai kar gaya
apnā apnā hausla thā fāsle tai kar gayā
vo jo kal tak jī rahā thā hañste hañste mar gayā
ro rahā thā aa.ina be-chehragī ko dekh kar
maiñ bhī apne aap se kal shab yaqīnan Dar gayā
raat bhar kartā rahā sevā kuñvāre jism kī
sub.h kī pahlī kiran ke saath vo mandir gayā
merī sāñsoñ meñ rahā sajda-numā raushan koī
maiñ jab apne aap ko le kar mukammal ghar gayā
har taraf phailī huī thī tīrgī 'sājid-hamīd’
kaun chehrā thā jo āñkhoñ meñ sitāre bhar gayā
apna apna hausla tha fasle tai kar gaya
wo jo kal tak ji raha tha hanste hanste mar gaya
ro raha tha aaina be-chehragi ko dekh kar
main bhi apne aap se kal shab yaqinan Dar gaya
raat bhar karta raha sewa kunware jism ki
subh ki pahli kiran ke sath wo mandir gaya
meri sanson mein raha sajda-numa raushan koi
main jab apne aap ko le kar mukammal ghar gaya
har taraf phaili hui thi tirgi 'sajid-hamid’
kaun chehra tha jo aankhon mein sitare bhar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.