apna chehra ajnabi lagne laga hai
apnā chehra ajnabī lagne lagā hai
kaun hai jo mujh meñ ab rahne lagā hai
kyā kahūñ kaise kahūñ chup-chāp koī
baat duniyā se mirī kahne lagā hai
jin diyoñ ne ye jahāñ raushan kiyā thā
un diyoñ kī aag se jalne lagā hai
dhuup ne tanhā.ī kam kar dī safar kī
ek saayā saath meñ chalne lagā hai
jab se badle haiñ sitāre mere tab se
āsmāñ mere liye jhukne lagā hai
apna chehra ajnabi lagne laga hai
kaun hai jo mujh mein ab rahne laga hai
kya kahun kaise kahun chup-chap koi
baat duniya se meri kahne laga hai
jin diyon ne ye jahan raushan kiya tha
un diyon ki aag se jalne laga hai
dhup ne tanhai kam kar di safar ki
ek saya sath mein chalne laga hai
jab se badle hain sitare mere tab se
aasman mere liye jhukne laga hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.