apna dil apni nazar apna jigar dekhenge
apnā dil apnī nazar apnā jigar dekheñge
aaj ham ḳhud ko ba-andāz-e-digar dekheñge
baaġh par yūrish-e-barq aur sharar dekheñge
ham se dekhā to na jā.egā magar dekheñge
raat ko hijr meñ dil is tarah taḌpā hai ki bas
ham ko ummīd nahīñ thī ki sahar dekheñge
aaj māñgeñge duāoñ meñ ḳhudā se un ko
aaj ham apnī duāoñ kā asar dekheñge
shahr meñ yuuñ to haiñ ḳhush-chehra ka.ī log magar
kis ke chehre pe Thahartī hai nazar dekheñge
aaj me.arāj pe hai shauq-e-nazāra apnā
un kā jalva nazar aa.egā jidhar dekheñge
vo musāfir huuñ safar hai mirā paiham jaarī
chāñd ko aap faqat tā-ba-sahar dekheñge
baaġh kā hashr jo honā hai vo hogā lekin
koshisheñ us ko bachāne kī to kar dekheñge
haath fankār ke kaaTe ga.e lekin phir bhī
aap jis shahr meñ jā.eñge 'hunar' dekheñge
apna dil apni nazar apna jigar dekhenge
aaj hum KHud ko ba-andaz-e-digar dekhenge
bagh par yurish-e-barq aur sharar dekhenge
hum se dekha to na jaega magar dekhenge
raat ko hijr mein dil is tarah taDpa hai ki bas
hum ko ummid nahin thi ki sahar dekhenge
aaj mangenge duaon mein KHuda se un ko
aaj hum apni duaon ka asar dekhenge
shahr mein yun to hain KHush-chehra kai log magar
kis ke chehre pe Thaharti hai nazar dekhenge
aaj mearaj pe hai shauq-e-nazara apna
un ka jalwa nazar aaega jidhar dekhenge
wo musafir hun safar hai mera paiham jari
chand ko aap faqat ta-ba-sahar dekhenge
bagh ka hashr jo hona hai wo hoga lekin
koshishen us ko bachane ki to kar dekhenge
hath fankar ke kaTe gae lekin phir bhi
aap jis shahr mein jaenge 'hunar' dekhenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.