apna dukh jaise dabaya hai maza aaya hai
apnā dukh jaise dabāyā hai mazā aaya hai
tiir palkoñ se uThāyā hai mazā aaya hai
kāmyābī kī ḳhushī aur nasha apnī jagah
ye jo dushman ko jalāyā hai mazā aaya hai
us ko taklīf meñ rakhnā mirā maqsad hī nahīñ
sirf ehsās dilāyā hai mazā aaya hai
dil to dil hai ye koī phuul nahīñ hai lekin
aap ne jaise churāyā hai mazā aaya hai
ab kaho shauq-e-mulāqāt meñ uḌne vaalo
hijr kā bojh uThāyā hai mazā aaya hai
kam se kam roz ye lahja to badaltī nahīñ naañ
dil kitāboñ se lagāyā hai mazā aaya hai
vo jo munsif hai pareshāñ hai vo aise hī nahīñ
aa.ina us ko dikhāyā hai mazā aaya hai
chhoḌ jaanā bahut āsān thā lekin 'shahbāz'
maiñ ne rishte ko nibhāyā hai mazā aaya hai
apna dukh jaise dabaya hai maza aaya hai
tir palkon se uThaya hai maza aaya hai
kaamyabi ki KHushi aur nasha apni jagah
ye jo dushman ko jalaya hai maza aaya hai
us ko taklif mein rakhna mera maqsad hi nahin
sirf ehsas dilaya hai maza aaya hai
dil to dil hai ye koi phul nahin hai lekin
aap ne jaise churaya hai maza aaya hai
ab kaho shauq-e-mulaqat mein uDne walo
hijr ka bojh uThaya hai maza aaya hai
kam se kam roz ye lahja to badalti nahin nan
dil kitabon se lagaya hai maza aaya hai
wo jo munsif hai pareshan hai wo aise hi nahin
aaina us ko dikhaya hai maza aaya hai
chhoD jaana bahut aasan tha lekin 'shahbaz'
main ne rishte ko nibhaya hai maza aaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.