apna hi aks nazar aae jise bhi dekhun
apnā hī aks nazar aa.e jise bhī dekhūñ
ḳhud se fursat nahīñ miltī ki tujhe bhī dekhūñ
kitnī hasrat hai ki taskīn-e-nazar kī ḳhātir
rah ke maiñ apne havāsoñ meñ use bhī dekhūñ
vaqt ke saath asālīb-e-suḳhan badle haiñ
kyoñ na mauzū-e-suḳhan aur na.e bhī dekhūñ
apnī hī zaat meñ gum ho ke na rah jā.ūñ kahīñ
zindagī kā jo taqāzā hai use bhī dekhūñ
saath khele hue bachpan ke bahut haiñ lekin
ajnabī sab nazar aate haiñ jise bhī dekhūñ
aabrū kuchh to mirī dīda-varī kī rah jaa.e
tujh ko jab chāhūñ jahāñ chāhūñ chhupe bhī dekhūñ
kis kī taqdīr meñ hai dār-o-rasan kā mansab
ḳhush-nasīb aisā koī hai to use bhī dekhūñ
aañkh raushan hai agar dil nahīñ raushan to 'asar'
kis tarah ālam-e-imkāñ se pare bhī dekhūñ
apna hi aks nazar aae jise bhi dekhun
KHud se fursat nahin milti ki tujhe bhi dekhun
kitni hasrat hai ki taskin-e-nazar ki KHatir
rah ke main apne hawason mein use bhi dekhun
waqt ke sath asalib-e-suKHan badle hain
kyon na mauzu-e-suKHan aur nae bhi dekhun
apni hi zat mein gum ho ke na rah jaun kahin
zindagi ka jo taqaza hai use bhi dekhun
sath khele hue bachpan ke bahut hain lekin
ajnabi sab nazar aate hain jise bhi dekhun
aabru kuchh to meri dida-wari ki rah jae
tujh ko jab chahun jahan chahun chhupe bhi dekhun
kis ki taqdir mein hai dar-o-rasan ka mansab
KHush-nasib aisa koi hai to use bhi dekhun
aankh raushan hai agar dil nahin raushan to 'asar'
kis tarah aalam-e-imkan se pare bhi dekhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.