apna hi choT de ke koi jab chala gaya
apnā hī choT de ke koī jab chalā gayā
ilzām mere zaḳhm kā mujh par hī aa gayā
phir dūsrī kitāb meñ merā na dil lagā
ya.anī tumhāre baad bhī tum ko paḌhā gayā
jiine kī mere vaj.h koī bhī nahīñ rahī
tū āḳhirī umiid thā tū bhī chalā gayā
tang aa ke zindagī se maiñ marne pe thā ba-zid
itne meñ ek haath mire sar pe aa gayā
ik umr terī justujū meñ mubtalā rahā
ik umr terī yaad meñ tanhā rahā gayā
kuchh der mujh ko ġhaur se sab dekhte rahe
kuchh der baad zor se mujh ko sunā gayā
do-chār din hī aañkh meñ aañsū maiñ rakh sakā
do-chār din meñ hādisa dil meñ samā gayā
jo dard kah sakā na kisī ġham-gusār se
sad-shukr hai ki vo mirī ġhazloñ meñ aa gayā
'sohil' vo ek shaḳhs jo suntā thā hāl-e-dil
nā-sāz ham ko jaan ke chhuTkārā pā gayā
apna hi choT de ke koi jab chala gaya
ilzam mere zaKHm ka mujh par hi aa gaya
phir dusri kitab mein mera na dil laga
yani tumhaare baad bhi tum ko paDha gaya
jine ki mere wajh koi bhi nahin rahi
tu aaKHiri umid tha tu bhi chala gaya
tang aa ke zindagi se main marne pe tha ba-zid
itne mein ek hath mere sar pe aa gaya
ek umr teri justuju mein mubtala raha
ek umr teri yaad mein tanha raha gaya
kuchh der mujh ko ghaur se sab dekhte rahe
kuchh der baad zor se mujh ko suna gaya
do-chaar din hi aankh mein aansu main rakh saka
do-chaar din mein hadisa dil mein sama gaya
jo dard kah saka na kisi gham-gusar se
sad-shukr hai ki wo meri ghazlon mein aa gaya
'sohil' wo ek shaKHs jo sunta tha haal-e-dil
na-saz hum ko jaan ke chhuTkara pa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.