apna iman-o-din samajhte hain
apnā īmān-o-dīñ samajhte haiñ
ham tujhe bil-yaqīñ samajhte haiñ
dil kī har ahl-e-dil samajhtā hai
aap hī ik nahīñ samajhte haiñ
apne dil kī jo baat sunte hoñ
'aql kī vo kahīñ samajhte haiñ
tum ko duniyā ḳhudā samajhtī hai
ek ham hī nahīñ samajhte haiñ
tere kūche kī sarzamīñ kī qasam
ham use kab zamīñ samajhte haiñ
tark-e-ulfat ba'īd-e-fitrat ho
maslahat ke qarīñ samajhte haiñ
kaam apnā niyāz-mandī hai
ham bhī ai nāznīñ samajhte haiñ
ham se uljhe na mohtasib hargiz
ham ki sab āñ-o-īñ samajhte haiñ
ġhair samjhā hai lā-makāñ jis ko
ham use dil-nashīñ samajhte haiñ
ham tire pyaar ke haiñ dā'vedār
ḳhud ko shāyad hasīñ samajhte haiñ
ai 'amar' ye to jeb-o-dāmāñ hai
jis ko ham āstīñ samajhte haiñ
apna iman-o-din samajhte hain
hum tujhe bil-yaqin samajhte hain
dil ki har ahl-e-dil samajhta hai
aap hi ek nahin samajhte hain
apne dil ki jo baat sunte hon
'aql ki wo kahin samajhte hain
tum ko duniya KHuda samajhti hai
ek hum hi nahin samajhte hain
tere kuche ki sarzamin ki qasam
hum use kab zamin samajhte hain
tark-e-ulfat ba'id-e-fitrat ho
maslahat ke qarin samajhte hain
kaam apna niyaz-mandi hai
hum bhi ai naznin samajhte hain
hum se uljhe na mohtasib hargiz
hum ki sab aan-o-in samajhte hain
ghair samjha hai la-makan jis ko
hum use dil-nashin samajhte hain
hum tere pyar ke hain da'wedar
KHud ko shayad hasin samajhte hain
ai 'amar' ye to jeb-o-daman hai
jis ko hum aastin samajhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.